Admin

Admin

 
Evolution of money

Evolution of money

Dosto aaj humari country cashless currency ki taraf bad raha hai. Hum sab humare country ki economy cashless banane ke liye madad kar rahe hai. Jaise aaj hum

phonepe, google pay, paytm jaise wallets, transaction ke liye use kar rahe hai. Isse bhi aage aaj hum virtual currency ki taraf ja rahe hai,

Jaise crypo currencies. Lekin kya aap ne jante hai, ye paper note se pehle hum kaisi currency use karte the. Aur cashless currencies aur virtual currencies

ke kya faide aur nuksan hai? Aur money yani paiso ki kya history hai? Ye sab hum detail discuss karege isliye video ko end tak dekhe?


Hum sab jante hai ye paper note pehle se use nahi hoti. Sabse pehle duniya me Barter system chalta tha. Matlab 1 chiz ke badle me dusri chiz kharidna.

Jaise, jo log kisan the, wo apne anaj ke badle me kapde ya aur koi zarurat ki chize kharidte the. 


Ya fir jo log mazduri ka kaam karte the, wo apne kaam ke badle anaj aur khane pine ki chize lete the. Lekin is system se insano ko bahot problems face karne padte the.

Matlab insan sirf unhi logo se trade kar sakta tha jinke paas uski zarurat ki chiz ho. Aur ye chize bahot bhari bhi hoti thi. To trading me aur travelling me

bahot nuksan hota tha. 


Fir 200 BC me first time china me tokens use hona start hua. Matlab wo log jis chiz ke badle me trade karna chahte the us chiz ke tokens, coins ki shakal me

banate the aur fir trade karte the. Isliye unhe wo poora saman apne sath nahi le jana padta tha.


Barter system ke baad logo ne apni trading sone aur chandi ke tukdo se karna start kar diya. Gold aur silver ye duniya ki sabse purani currency mani jati hai.

Aur gold aur silver ki value jabse ye recognise hue hai tab se consistent hai. Matlab iski value kabhi khatam nahi hoti, jaise agar koi country me war ho

jae to uski currency ki value kam ho jati hai. 


Ya fir agar kisi country pe koi naya kingdom, rule karne lag jae to pichle ruler ki currency ki value zero ho 

jati hai. Isi tarah jab india me demonetisation hua tha, tab hum sab jante hai humari 1000 aur 500 ki note ki koi 

value nahi bachi thi. Lekin Gold aur silver ye aise assets hai chahe kuch bhi ho jae iski value kabhi khatam nahi hoti. 


Lydia naam ke ek country ne sabse pehle 600BC me gold aur silver ke coins banae. Jo ke aaj map me turkey ka ek part hai. Fir ye system poori duniya ne adopt kiya


Isse pehle bhi kuch dynasty ne aise coins ka system banaya tha jaise Egypt me Feros ki dynasty. India ke hadappa dynasty me bhi bahot poorane coins mile hai.

Lekin unki history exactly aaj humare paaas nahi hai.



Gold aur silver coins ka system kafi salo tak duniya me chala. Aaj bhi chal raha hai lekin aaj wo coins assets ki tarah use hote hai, na ke currency ki tarah.

Sabse pehle paper money 700 iswi me China ke Tang Dynasty ne introduce kiya. Fir jab europe ke businessman china gae to unhone ye system dekh kar europe me start kar diya. 


Paper notes, country ke gold aur silver ke stock ka bill hua karta tha. Matlab agar kisi country ke poore notes jama kiye jae to uski value

us gold aur silver ke stock jitni hoti thi. Isi system ke sath duniya ka har country apni currency print karta tha. 


Fir August 15, 1971,ko american

 President Richard Nixon ne, gold standard khatam kar diya. ab wo apni marzi se apni currency print karte hai. Isi tarah ka decision india ne 1993 me liya aur gold standard

ko khatam kar diya. 


Fir 1953 me first time plastic money introduce hua. Jise hum credit card aur debit card ke naam se jante hai. Hum debit card lekar kahi bhi travel kar sakte hai

aur usme se paise withdraw kar sakte hai. Matlab paisa abhi paper ke form me bhi nahi balke 0 aur 1 ke format me hai. Jise hum binary format kehte hai. ye wo language hai jise computer samajta hai. 


1990 me paypal jaisi companies ne, international transaction ke liye, eCash system ko introduce kiya. 

Ye system 1997 tak kafi evolve ho gaya, aur mobile me bhi aa gaya. 


Fir 2009 me crypto currency bani. Bitcoin jise hum first crypto currency ke naam se jante hai. 2013 me bitcoin ke payment portals ban gae. Matlab hum bitcoin

ya fir dusri cryptocurrency se transaction kar sakte hai. 2021 me bitcoin ka market cap 1 trillion dollar ho gaya hai. Aur 2025 me almost poori duniya cashless ho jaegi.


Matlab aapke paas cash paise nahi hoge. Sirf apke wallet me numbers hoge, jo aap kisi ko bhi send kar sakte ho. Apke paas na hi paise hoge na hi apke paas koi

assets hoge, sone chandi ke form me. Us waqt hum sab ek trap me hoge, virtually hi kamaege aur virtually hi kharch karege. Aur aisi situation me agar hackers chahe to

humare poore paise gayab kar sakte hai. 


Ye apko conspiracy lag raha hoga lekin ye sach hai. 25 january 2022 ko hackers ne hydrabad me mahesh bank ke servers

hack karke usme se 12 karod rupiye alag alag accounts me transfer kar diye. Aur aapko pata hota hackers ne kaise cryptopia.co.nz ye cryptocurrency platform

poora hack kar diya aur logo ke billions of dollars ki cryptocurrency gayab kar di. 


Aur agar aap google karege to aapko pata chalega kaise poori duniya me 

chines russian american aur bhi countires ke hackers online money scam kar rahe hai. jis par humara aur government ka koi control nahi hai. Future me agar 

governments chahegi to wo kisi ko bhi flash kar sakti hai. matlab uske account ko format maar kar, uske poore paise gayab kar sakti hai. 


Aur waise bhi aaj

humara aur humari governments ka, poora data tech giants amazon, microsoft, google jaisi companies ke servers par hi hota hai. to ho sakta hai future me

yahi companies world par rule kare, aur hume humare data se control kare, aur humare poore paiso ko reset kar de. 


Ab ye log apni alag virtual duniya bhi bana rahe hai

jise metaverse kehte hai. to waha par rule bhi wahi log karege. Agar aap ko metaverse ke bare me, kam waqt me sab kuch jaanna hai, to humare is video ko aap 

dekh sakte hai, description me bhi uski link maine add kardi hai. Tab tak ke liye take care,  milte hai next video me.

Related Posts

  • 7 Best schools in America for Indian Students

    7 Best schools in America for Indian Students

     
  • Education System In India

    Education System In India

     
  • IPL 2022 Auction Stats

    IPL 2022 Auction Stats

     
  • Great Ideas

    Great Ideas

     
  • Shocking Facts About Queen Elizabeth!

    Shocking Facts About Queen Elizabeth!

     
  • Unknown facts about shark tank

    Unknown facts about shark tank

     
  • Evolution of money

    Evolution of money

     
  • Who are the Real Billionaires of the world?

    Who are the Real Billionaires of the world?

     
  • Amazing facts you must know

    Amazing facts you must know

     
  • Weird Things

    Weird Things

     
  • Some Quick Updates

    Some Quick Updates

     
  • Rich People

    Rich People

     
Help & Support
close

Do you have any query? EducateToday will help you

Copyright © 2024 Proudly powered by EducateToday