Bacche ne bachayi chote bhai ki jaan
Ye dono bacche jaise hi is table par chadte hai, table inke upar gir jata hai. Bada wala baccha to asani se table se nikal jata hai par uska chota bhai phus jata hai. Bada bhai bar bar us table ko hatane ki koshish karta hai par us bechare me itni taqat nahi hoti aur ghar par koi bhi nahi hota. Wo koshish karta raheta hai aur akhir kar, wo us table ko hata deta hai jisse uske chote bhai ki jaan bach jati hai aur wo sahi salamat bahar nikal jata hai. Bacchhe ki is bahaduri ke liye ek like to banta hai.
Dynamo magic trick
Dynamo ki ek bahot hi kamal ki magic trick hai jisme wo apne dono hath water fountain ke upar rakhta hai aur kuch hi seconds me wo puri tarah barf ban jata hai. Itna hi nahi wo usse nikalne wale jharne ko bhi barf bana deta hai. Lekin dynamo ne ye kiya kaise? To dekho har jadu ke piche sience ki tricks hoti hai. Yaha par trick perform karne se pahele hi dynamo ki team ne us water fountain ki jagah ko, is trick ke liye tayyar kar diya tha.
Darasal us pani ke niche pahele se hi unhone ek bada sa ice cube rakh diya tha aur jab dynamo apne dono hath uspe rakhte hai to wo ice cube upar aa jata hai aur pani niche chala jata hai. Lekin fir bhi water fall ko ice me kaise convert kiya? Well us water fall under pahele se hi ek patli barf ki layer hoti hai, jise lag kar pani flow hota hai. Aur dynamo ke ishare par uski team pani ke flow ko band kar dete hai, jisse waha sirf ice ki layer bachti hai, aur dekhne me aisa lagta hai jaise abhi barf jama ho.
Lab me Diamonds kaise bante hai
Natural diamonds ko banne me karodo saaal lagte hai Jabke lab me banaye gaye Diamonds sirf 10 hafto me tayyar ho jate hai. Halaki bina natural diamond ke ye ban hi nahi sakte. Sabse pahele lasor ki madat se natural diamond ki ek patli layer kat ke nikali jati hai. Us sheet ko polish karke cbd plazma reator me rakha jata hai. Is reactor ke under ka tapman surya ki bahari parat jitna hota hai aur iske under itna pressure banaya jata hai jitna ke dharti ke under ke natural diamonds ko chahiye hota hai.
Isse karbon ke chote chote tukde sheet par jama hona shuru ho jate hai. Aur kuch hi hafto me ek pura diamond tayyar ho jata hai jise cbd diamond kaha jata hai. Fir inhe diamond ke shape me cut kiya jata hai aur Final diamond tayyar ho jata hai. Iski process me puri tarah natural environment create kiya jata hai isliye original diamond ki aur iski physical aur chemical properties same hoti hai. Isliye inke bich fark batana kaafi mushkil hai.
Advertisement ka naya tarika
Advertisements ke liye companies kafi creative ideas sochti hai. Magar ye wali idea bahot unique hai. Ek baar humare Ratan Tata ki Land Rover company ne beach sadak par ek bahot bada speed breaker bana diya. Ise dekh kar log bahot chauk jate hai aur gadi ghuma lete hai. Agar koi gadi us par chadne ki koshish bhi karti hai to wo phus jati. Itne me Land Rover company ki ek gadi Range Rover ati hai aur us breaker ko asani se par kar deti. Ise dekh kar waha ke log kafi chawk jate hai aur dekhne lagte hai ki ye kaun si gadi jisne itne bade breaker ko asani se cross kar diya. Is tarah se Land Rover company ne apni creativity se logo ke dilo me jagah bana li.
Dominos Extra Oregano
Dosto aapne kabhi notice kiya hai ke domonos company, pizza delivery me extra oregano kyu dalte hai? Ek regular size ke pizza ke liye 5-6 Oreganos enough hai, lekin Dominos 10 se 15 Oregano extra dete hai. Ye simply ek marketing strategy hai. Oregano bahot mahenge milte hai isliye hum me se aksar log extra oreganos ko phekne ki bajaye unhe sambhal kar rakhte hai, take badme kisi aur chiz ke saath use kiya jaye. Aur yahi wo chahte hai. Kyu ki badme unko dekh kar insaan ka wapas pizza mangwane ka dil karta hai. Aur 50-60 rupiye ke oregano ke badle unko 500 rupiye ke pizza ki order mil jati hai. Ye sachme kamal ki strategy hai.
Nikola Motors
Nikola Motors ke founder Trevor Milton ne 2016 me Nikola One naam ka truck introduce kiya aur ye dawa kiya ke, unka ye truck hidrogen one naam ki technology se chalta hai. Jisme wo solar power se banayi hui electricity ko hidrogen me badalte hai aur usi gas se ye truck chalta hai. Sath hi unhone ye bhi kaha ke unka ye truck environment ko koi nuksan nahi pahochata aur ek baar gas fill karne par wo 1600 kilimeter tak chal sakta hai.
Is nayi technology ne automobile industry me tahelka macha diya aur badi badi companies unke sath kam karne ko tayyar thi. Logo ka ye bhi manna tha ke Nikola Motors ab Tesla Motors ko bhi piche chhod degi. Lekin ye ek bahot bhayankar scam tha. Kyu ki jis technology ki Trevor baat kar rahe the aisi koi technology exist hi nahi karti.
Jo truck unhone logo ko bataya tha wo dummy tha aur jo chalti truck ka video unhone release kiya wo bhi fake tha. Lekin iski wajah se company ki value 30 billion dollars ki ho gayi thi aur jaise hi parda fash hua, Trevor apne saare social media accounts delete karke gayab ho gaye.
Copyright © 2024 Proudly powered by EducateToday